badalte pal mein hum mahram nahin hain
badalte pal meñ ham mahram nahīñ haiñ
tere jaise to kam se kam nahīñ haiñ
manānā bhī tumheñ jī jaan se hai
ḳhafā karne meñ bhī ham kam nahīñ hai
gunāhoñ ko tire de deñ muāfī
ḳhudā hai vo ki dekho ham nahīñ haiñ
luTā kar tere hisse kī mohabbat
merī āñkheñ zarā bhī nam nahīñ haiñ
mujhe siine se apne tum lagā lo
judā hone ke ye mausam nahīñ haiñ
badalte pal mein hum mahram nahin hain
tere jaise to kam se kam nahin hain
manana bhi tumhein ji jaan se hai
KHafa karne mein bhi hum kam nahin hai
gunahon ko tere de den muafi
KHuda hai wo ki dekho hum nahin hain
luTa kar tere hisse ki mohabbat
meri aankhen zara bhi nam nahin hain
mujhe sine se apne tum laga lo
juda hone ke ye mausam nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.