badan badan ki zarurat se mar Dala gaya
badan badan kī zarūrat se maar Daalā gayā
jo bach rahā vo mohabbat se maar Daalā gayā
na titliyoñ se thā ḳhatra na jugnuoñ se ḳhauf
hameñ to ḳhair sharārat se maar Daalā gayā
jo gard aane na dete the apne kapḌoñ tak
unheñ bhī kaisī nafāsat se maar Daalā gayā
ḳhudā-e-husn ḳharābī isī nazar meñ thī
ik aa.ina mirī hairat se maar Daalā gayā
tamām zor-e-ḳhitābat ḳhilāf thā apne
'adū ke 'ilm kī tāqat se maar Daalā gayā
ik aur shaḳhs mire dostoñ ke andar thā
use thapak ke mohabbat se maar Daalā gayā
ka.ī gavāh bhī kam aap ko sazā ke liye
hameñ to ek shahādat se maar Daalā gayā
badan badan ki zarurat se mar Dala gaya
jo bach raha wo mohabbat se mar Dala gaya
na titliyon se tha KHatra na jugnuon se KHauf
hamein to KHair shararat se mar Dala gaya
jo gard aane na dete the apne kapDon tak
unhen bhi kaisi nafasat se mar Dala gaya
KHuda-e-husn KHarabi isi nazar mein thi
ek aaina meri hairat se mar Dala gaya
tamam zor-e-KHitabat KHilaf tha apne
'adu ke 'ilm ki taqat se mar Dala gaya
ek aur shaKHs mere doston ke andar tha
use thapak ke mohabbat se mar Dala gaya
kai gawah bhi kam aap ko saza ke liye
hamein to ek shahadat se mar Dala gaya
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 115)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.