badan chhupane ko kuchh mere pas tha hi nahin
badan chhupāne ko kuchh mere paas thā hī nahīñ
jo zeb-e-tan thā vo merā libās thā hī nahīñ
maiñ jis ke hijr ko dil se lagā ke baiThā rahā
vo mujh ko chhoḌ ke bilkul udaas thā hī nahīñ
mujhe to pyāsā tire mai-kade se lauTnā thā
ki mere haath meñ koī gilās thā hī nahīñ
usī kī ḳhushbū kī aahaT chahār-jānib thī
jo mere paas thā aur ās-pās thā hī nahīñ
tamām umr tazādāt kā shikār rahe
jo tujh ko raas thā vo mujh ko raas thā hī nahīñ
badan chhupane ko kuchh mere pas tha hi nahin
jo zeb-e-tan tha wo mera libas tha hi nahin
main jis ke hijr ko dil se laga ke baiTha raha
wo mujh ko chhoD ke bilkul udas tha hi nahin
mujhe to pyasa tere mai-kade se lauTna tha
ki mere hath mein koi gilas tha hi nahin
usi ki KHushbu ki aahaT chahaar-jaanib thi
jo mere pas tha aur aas-pas tha hi nahin
tamam umr tazadat ka shikar rahe
jo tujh ko ras tha wo mujh ko ras tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.