badan dhup mein tap ke kale hue hain
badan dhuup meñ tap ke kaale hue haiñ
mayassar tabhī do nivāle hue haiñ
añdheroñ se kah do idhar se na guzreñ
baḌī mushkiloñ se ujāle hue haiñ
ḳhushī ne mirā saath chhoḌā hai jab se
mire ġham hī mujh ko sañbhāle hue haiñ
sivā Dūbne ke nahīñ 'ishq meñ kuchh
ye dariyā hamāre khañgāle hue haiñ
safar zindagī kā ye tai ham kareñge
bhale paañv meñ laakh chhāle hue haiñ
ye ulfat mohabbat hasīnoñ kī sohbat
'ajab shauq duniyā ne paale hue haiñ
badan dhup mein tap ke kale hue hain
mayassar tabhi do niwale hue hain
andheron se kah do idhar se na guzren
baDi mushkilon se ujale hue hain
KHushi ne mera sath chhoDa hai jab se
mere gham hi mujh ko sanbhaale hue hain
siwa Dubne ke nahin 'ishq mein kuchh
ye dariya hamare khangale hue hain
safar zindagi ka ye tai hum karenge
bhale panw mein lakh chhaale hue hain
ye ulfat mohabbat hasinon ki sohbat
'ajab shauq duniya ne pale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.