badan hasin nahin koi jama-zeb nahin
badan hasīn nahīñ koī jāma-zeb nahīñ
jahāñ meñ husn se baḌh kar koī fareb nahīñ
kahāñ sañbhāl ke rakkhūñ maiñ dard kī daulat
bharī huī hai ye aañkh aur dil meñ jeb nahīñ
ye jang vo nahīñ jis meñ kisī ko maat mile
nazar bhī tiir nahīñ koī dil bhī seb nahīñ
hamāre chehre kā radd-e-amal bhī dekh ki ab
vo aarzū nahīñ is dil meñ vo shakeb nahīñ
ik aur qaul hai har qaul ke nibāh ke baad
vafā kī rāhguzar meñ kahīñ nasheb nahīñ
banī-banā.ī huī raa.e se judā huuñ maiñ
hasīn shaḳhs huuñ lekin maiñ dil-fareb nahīñ
badan hasin nahin koi jama-zeb nahin
jahan mein husn se baDh kar koi fareb nahin
kahan sanbhaal ke rakkhun main dard ki daulat
bhari hui hai ye aankh aur dil mein jeb nahin
ye jang wo nahin jis mein kisi ko mat mile
nazar bhi tir nahin koi dil bhi seb nahin
hamare chehre ka radd-e-amal bhi dekh ki ab
wo aarzu nahin is dil mein wo shakeb nahin
ek aur qaul hai har qaul ke nibah ke baad
wafa ki rahguzar mein kahin nasheb nahin
bani-banai hui rae se juda hun main
hasin shaKHs hun lekin main dil-fareb nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.