badan ke daf par lahu baha le de raft raftan thirak raha hai
badan ke daf par lahu baha le de raft raftan thirak raha hai
Amir Hamza Saqib
MORE BYAmir Hamza Saqib
badan ke daf par lahū bahā le de raft raftan thirak rahā hai
ye kaun naddāf andar andar tamām ruuī dhunak rahā hai
ham apne rūyā-e-'ishq saare jalā ke ḳhāshāk kar to deñge
magar vo ik ḳhvāb jo musalsal hamārī āñkhoñ ko tak rahā hai
farishte ujle paroñ se sar-sabz fasl-e-rahmat bikherte haiñ
ġharīb dahqāñ hikāyatoñ se zamīñ ke dāġhoñ ko Dhak rahā hai
maiñ apnī tanhā.iyoñ ke rāgoñ meñ apnī vahshat ko Dhāltā huuñ
ye merī sāñsoñ ke zer-o-bam meñ tumhārā dil kyoñ dhaḌak rahā hai
azal abad hast-o-būd maiñ tū sab ik ikaa.ī meñ Dhal rahe haiñ
nazar pe thā manzaroñ kā parda so ab ye parda sarak rahā hai
badan ke daf par lahu baha le de raft raftan thirak raha hai
ye kaun naddaf andar andar tamam rui dhunak raha hai
hum apne ruya-e-'ishq sare jala ke KHashak kar to denge
magar wo ek KHwab jo musalsal hamari aankhon ko tak raha hai
farishte ujle paron se sar-sabz fasl-e-rahmat bikherte hain
gharib dahqan hikayaton se zamin ke daghon ko Dhak raha hai
main apni tanhaiyon ke ragon mein apni wahshat ko Dhaalta hun
ye meri sanson ke zer-o-bam mein tumhaara dil kyon dhaDak raha hai
azal abad hast-o-bud main tu sab ek ikai mein Dhal rahe hain
nazar pe tha manzaron ka parda so ab ye parda sarak raha hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 95)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.