badan ke dasht mein kuchh dard ke aahu nikalte hain
badan ke dasht meñ kuchh dard ke aahū nikalte haiñ
mirī ġhazloñ meñ is ḳhātir na.e pahlū nikalte haiñ
maiñ hairāñ huuñ ki mujh ko tum milī ho kin savāboñ se
gunahgāroñ kī qabroñ meñ to bas bichchhū nikalte haiñ
bahut lāchār hote haiñ dayār-e-'ishq meñ vo bhī
jo duniyāvī ravābit meñ baḌe baabū nikalte haiñ
nazar paḌtī hai jab merī tirī chhoḌī nishānī par
mirī āñkhoñ se aañsū ho ke be-qābū nikalte haiñ
mirā dil hai purāne daur kī tīra-shabī kā ghar
tirī yādoñ ke chamgādaḌ yahāñ har-sū nikalte haiñ
hamī ko dekh kar āñkhoñ se vo parda uThātā hai
hamāre qatl ko har samt se chāqū nikalte haiñ
badan ke dasht mein kuchh dard ke aahu nikalte hain
meri ghazlon mein is KHatir nae pahlu nikalte hain
main hairan hun ki mujh ko tum mili ho kin sawabon se
gunahgaron ki qabron mein to bas bichchhu nikalte hain
bahut lachaar hote hain dayar-e-'ishq mein wo bhi
jo duniyawi rawabit mein baDe babu nikalte hain
nazar paDti hai jab meri teri chhoDi nishani par
meri aankhon se aansu ho ke be-qabu nikalte hain
mera dil hai purane daur ki tira-shabi ka ghar
teri yaadon ke chamgadaD yahan har-su nikalte hain
hami ko dekh kar aankhon se wo parda uThata hai
hamare qatl ko har samt se chaqu nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.