badan ke sae ne jab rasta siyah kiya
badan ke saa.e ne jab rāsta siyāh kiyā
palaT ke maiñ ne bhī sūraj ko intibāh kiyā
phir ek yaad kī lau jagmagā.ī siine meñ
phir ik umiid ne dil ko panāh-gāh kiyā
is ek shauq-e-nazar ne hameñ kiyā ta.amīr
phir us ke baad isī ne hameñ tabāh kiyā
havā rukī to bhaḌakte rahe charāġhoñ meñ
havā chalī to uThe ḳhud ko raah raah kiyā
ajiib shaam thī vo shaam jab bichhaḌte vaqt
is āftāb ne afsurda be-panāh kiyā
zamīn bas yahī qābil thī is liye apnī
ġhazal meñ tujh ko uThāyā to mehr-o-māh kiyā
agar chale to musalsal chale musalsal hī
'nafīs' ishq kiyā aur gaah gaah kiyā
badan ke sae ne jab rasta siyah kiya
palaT ke main ne bhi suraj ko intibah kiya
phir ek yaad ki lau jagmagai sine mein
phir ek umid ne dil ko panah-gah kiya
is ek shauq-e-nazar ne hamein kiya tamir
phir us ke baad isi ne hamein tabah kiya
hawa ruki to bhaDakte rahe charaghon mein
hawa chali to uThe KHud ko rah rah kiya
ajib sham thi wo sham jab bichhaDte waqt
is aaftab ne afsurda be-panah kiya
zamin bas yahi qabil thi is liye apni
ghazal mein tujh ko uThaya to mehr-o-mah kiya
agar chale to musalsal chale musalsal hi
'nafis' ishq kiya aur gah gah kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.