badan ke sath hi aashob-e-jaan uThae hue
badan ke saath hī āshob-e-jāñ uThā.e hue
chalo kuchh aur ye bār-e-garāñ uThā.e hue
hamāre jaise to do chaar das hī hoñge yahāñ
zamīñ pe phirte haiñ jo āsmāñ uThā.e hue
baḌhā dī maut ne kuchh aur bhī mirī takrīm
haiñ hāthoñ haath mujhe mehrbāñ uThā.e hue
hasīn ban ke guzārī hai zindagī maiñ ne
tamām yaar rahe barchhiyāñ uThā.e hue
'ajīb ḳhvāb ye dekhā guzishta shab maiñ ne
khaḌe haiñ log mujhe darmiyāñ uThā.e hue
maiñ us ke sāmne kab tak rahūñgā sīna-sipar
vo mujh ko dekh rahā hai kamāñ uThā.e hue
tamām sahrā hī gulshan dikhā.ī detā hai
hai tere pairoñ ke jab se nishāñ uThā.e hue
tamām raat kī rūdād kah rahī hai 'nūr'
ye bujhtī sham' laboñ par dhuāñ uThā.e hue
badan ke sath hi aashob-e-jaan uThae hue
chalo kuchh aur ye bar-e-garan uThae hue
hamare jaise to do chaar das hi honge yahan
zamin pe phirte hain jo aasman uThae hue
baDha di maut ne kuchh aur bhi meri takrim
hain hathon hath mujhe mehrban uThae hue
hasin ban ke guzari hai zindagi main ne
tamam yar rahe barchhiyan uThae hue
'ajib KHwab ye dekha guzishta shab main ne
khaDe hain log mujhe darmiyan uThae hue
main us ke samne kab tak rahunga sina-sipar
wo mujh ko dekh raha hai kaman uThae hue
tamam sahra hi gulshan dikhai deta hai
hai tere pairon ke jab se nishan uThae hue
tamam raat ki rudad kah rahi hai 'nur'
ye bujhti sham' labon par dhuan uThae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.