badan ki mauj mein angDaiyan ulajh jaen
badan kī mauj meñ añgḌā.iyāñ ulajh jaa.eñ
tilism aisā ki bīnā.iyāñ ulajh jaa.eñ
jo tere paañv kī bikhrī ho ḳhaak rāhoñ meñ
vahāñ se guzreñ to parchhā.iyāñ ulajh jaa.eñ
khulī ho zulf to sar par dupaTTā rakh lenā
na aisā ho kahīñ purvā.iyāñ ulajh jaa.eñ
zabān-e-ishq jo kholeñ kahīñ pe sannāTe
baḌe baḌoñ kī bhī dānā.iyāñ ulajh jaa.eñ
nigāh duur hī rakkho hamāre zaḳhmoñ se
jo in ko dekheñ to gahrā.iyāñ ulajh jaa.eñ
majāz Thiik hai dil ke taḌapte rahne kā
hamārī mauj meñ tanhā.iyāñ ulajh jaa.eñ
ilaaj ishq kā karne jo aa.e chāragar
maraz meñ saarī masīhā.iyāñ ulajh jaa.eñ
uruuj saare badal jaate haiñ zavāloñ meñ
agarche paañv se rusvā.iyāñ ulajh jaa.eñ
suneñ ye dil se mire dard kī azaan agar
'nadīm' aap kī shahnā.iyāñ ulajh jaa.eñ
badan ki mauj mein angDaiyan ulajh jaen
tilism aisa ki binaiyan ulajh jaen
jo tere panw ki bikhri ho KHak rahon mein
wahan se guzren to parchhaiyan ulajh jaen
khuli ho zulf to sar par dupaTTa rakh lena
na aisa ho kahin purwaiyan ulajh jaen
zaban-e-ishq jo kholen kahin pe sannaTe
baDe baDon ki bhi danaiyan ulajh jaen
nigah dur hi rakkho hamare zaKHmon se
jo in ko dekhen to gahraiyan ulajh jaen
majaz Thik hai dil ke taDapte rahne ka
hamari mauj mein tanhaiyan ulajh jaen
ilaj ishq ka karne jo aae chaaragar
maraz mein sari masihaiyan ulajh jaen
uruj sare badal jate hain zawalon mein
agarche panw se ruswaiyan ulajh jaen
sunen ye dil se mere dard ki azan agar
'nadim' aap ki shahnaiyan ulajh jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.