badan ki qabr mein KHwabon ki lash hai main hun
badan kī qabr meñ ḳhvāboñ kī laash hai maiñ huuñ
qadam qadam pe hī fikr-e-ma'āsh hai maiñ huuñ
zamāne bhar meñ to ye raaz faash hai maiñ huuñ
magar mujhe to mirī hī talāsh hai maiñ huuñ
har ek zarb na.e tajrabe ukere hai
hayāt hai ki koī sañg-tarāsh hai maiñ huuñ
lageñgī boliyāñ jannat kī ab sar-e-bāzār
bikegī ḳhuld-e-barīñ uf vināsh hai maiñ huuñ
jo vaqt maazī meñ guzrā hai kaash ruk jaatā
laboñ pe aaj faqat lafz-e-kāsh hai maiñ huuñ
har ik qadam pe na.ī hasrateñ panaptī haiñ
na jaane kaisā ye ik moh-pāsh hai maiñ huuñ
kyuuñ lamha lamha hī baḌhtī hī jā rahī hai 'shahāb'
ye guzre vaqt kī kaisī ḳharāsh hai maiñ huuñ
badan ki qabr mein KHwabon ki lash hai main hun
qadam qadam pe hi fikr-e-ma'ash hai main hun
zamane bhar mein to ye raaz fash hai main hun
magar mujhe to meri hi talash hai main hun
har ek zarb nae tajrabe ukere hai
hayat hai ki koi sang-tarash hai main hun
lagengi boliyan jannat ki ab sar-e-bazar
bikegi KHuld-e-barin uf winash hai main hun
jo waqt mazi mein guzra hai kash ruk jata
labon pe aaj faqat lafz-e-kash hai main hun
har ek qadam pe nai hasraten panapti hain
na jaane kaisa ye ek moh-pash hai main hun
kyun lamha lamha hi baDhti hi ja rahi hai 'shahab'
ye guzre waqt ki kaisi KHarash hai main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.