badan ki qaid mein rah kar tamam-tar kaTo
badan kī qaid meñ rah kar tamām-tar kaaTo
ye 'umr koī sazā hai ki 'umr bhar kaaTo
rahe na ek bhī haamī yahāñ mohabbat kā
jalā do phuul kī shāḳhoñ ko aur shajar kaaTo
khulī fazā.eñ dikhātā thā mujh ko aur ik roz
kisī ne us ko sikhāyā ki is ke par kaaTo
tumhāre fā.ede nuqsān kā hī zikr na ho
kisī kī baat jo kaaTo to soch kar kaaTo
panap rahī hai baġhāvat so tum pe vājib hai
hamārī āñkheñ nikālo hamāre sar kaaTo
ye koī shart nahīñ hai ki mere paas raho
tumhārā vaqt hai chāhe jahāñ jidhar kaaTo
baḌī hī ‘umda likhī dāstāñ mohabbat kī
magar jo lafz izāfī likhā hai Dar kaaTo
tamām 'umr kī āvārgī ke baa'd khulā
na dil kī baat suno aur na dar-ba-dar kaaTo
badan ki qaid mein rah kar tamam-tar kaTo
ye 'umr koi saza hai ki 'umr bhar kaTo
rahe na ek bhi hami yahan mohabbat ka
jala do phul ki shaKHon ko aur shajar kaTo
khuli fazaen dikhata tha mujh ko aur ek roz
kisi ne us ko sikhaya ki is ke par kaTo
tumhaare faede nuqsan ka hi zikr na ho
kisi ki baat jo kaTo to soch kar kaTo
panap rahi hai baghawat so tum pe wajib hai
hamari aankhen nikalo hamare sar kaTo
ye koi shart nahin hai ki mere pas raho
tumhaara waqt hai chahe jahan jidhar kaTo
baDi hi ‘umda likhi dastan mohabbat ki
magar jo lafz izafi likha hai Dar kaTo
tamam 'umr ki aawargi ke ba'd khula
na dil ki baat suno aur na dar-ba-dar kaTo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.