badan ki sair se farigh hue insan ke nazdik
badan kī sair se fāriġh hue insān ke nazdīk
shab-o-roz ek jaise haiñ na.e haivān ke nazdīk
azal se falsafa thāme havāla-ba-havāla hī
ham āḳhir-kār pahuñche to sahī insān ke nazdīk
nazar kī qaid se nikle to dil meñ bhar liyā us ne
koī bāġhīcha ho jaise kisī zindān ke nazdīk
usūl-e-'ishq dīgar haiñ usūl-e-dīn-o-duniyā aur
koī sāmān mat rakhnā mire sāmān ke nazdīk
khurach kar sīna-e-mulhid sabhī hairān haiñ 'tauhīd'
ḳhudā ābād hai ik kūcha-e-vīrān ke nazdīk
badan ki sair se farigh hue insan ke nazdik
shab-o-roz ek jaise hain nae haiwan ke nazdik
azal se falsafa thame hawala-ba-hawala hi
hum aaKHir-kar pahunche to sahi insan ke nazdik
nazar ki qaid se nikle to dil mein bhar liya us ne
koi baghicha ho jaise kisi zindan ke nazdik
usul-e-'ishq digar hain usul-e-din-o-duniya aur
koi saman mat rakhna mere saman ke nazdik
khurach kar sina-e-mulhid sabhi hairan hain 'tauhid'
KHuda aabaad hai ek kucha-e-viran ke nazdik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.