badan ki sarhad pe barishon ki jhaDi lagi hai ajab ghaDi hai
badan kī sarhad pe bārishoñ kī jhaḌī lagī hai 'ajab ghaḌī hai
tilism TuuTā fasīl-e-imkān gir paḌī hai 'ajab ghaḌī hai
ġhadar paḌā hai guzartī sā'at hazār yādeñ udheḌtī hai
maiñ kyā batā.ūñ yahāñ to dillī ujaḌ chukī hai 'ajab ghaḌī hai
zamīñ pe robot apne aañsū kā zā.iqa tak batā rahe haiñ
machine-zādoñ pe kyā karāmat utar rahī hai 'ajab ghaḌī hai
koī javāñ phir jalā rahā hai ḳhudā.ī ātish-kade se mash'al
zamīñ kī harakat se āsmānoñ meñ khalbalī hai 'ajab ghaḌī hai
jahān-e-hairat-sarā meñ mohlat kahāñ kisī ko nasīb hove
ajal-girafta hayāt sar pe khaḌī huī hai 'ajab ghaḌī hai
vujūd apnī shikastagī ko fanā kī chakkī meñ pīstā hai
'adam-navardoñ ne maut kī simfanī sunī hai 'ajab ghaḌī hai
fanā ke andhe kueñ meñ koī tilism aisā bhī jalva-gar hai
ki zindagī kī parī bhī us meñ utar rahī hai 'ajab ghaḌī hai
rivāq-e-basra kī sham.a-e-īmāñ se bāġh-e-jannat sulag uThā hai
yaqīñ kī bārish ne aag dozaḳh kī sard kī hai 'ajab ghaḌī hai
tamāsh-bīno sarāb-e-hastī ko chashm-e-hairat meñ tolte ho
mujhe batāo ye zindagī hai ki phuljhaḌī hai 'ajab ghaḌī hai
badan ki sarhad pe barishon ki jhaDi lagi hai 'ajab ghaDi hai
tilism TuTa fasil-e-imkan gir paDi hai 'ajab ghaDi hai
ghadar paDa hai guzarti sa'at hazar yaaden udheDti hai
main kya bataun yahan to dilli ujaD chuki hai 'ajab ghaDi hai
zamin pe robot apne aansu ka zaiqa tak bata rahe hain
machine-zadon pe kya karamat utar rahi hai 'ajab ghaDi hai
koi jawan phir jala raha hai KHudai aatish-kade se mash'al
zamin ki harakat se aasmanon mein khalbali hai 'ajab ghaDi hai
jahan-e-hairat-sara mein mohlat kahan kisi ko nasib howe
ajal-girafta hayat sar pe khaDi hui hai 'ajab ghaDi hai
wujud apni shikastagi ko fana ki chakki mein pista hai
'adam-nawardon ne maut ki simfani suni hai 'ajab ghaDi hai
fana ke andhe kuen mein koi tilism aisa bhi jalwa-gar hai
ki zindagi ki pari bhi us mein utar rahi hai 'ajab ghaDi hai
riwaq-e-basra ki shama-e-iman se bagh-e-jannat sulag uTha hai
yaqin ki barish ne aag dozaKH ki sard ki hai 'ajab ghaDi hai
tamash-bino sarab-e-hasti ko chashm-e-hairat mein tolte ho
mujhe batao ye zindagi hai ki phuljhaDi hai 'ajab ghaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.