badan ko chang bana ruh ko rabab bana
badan ko chañg banā ruuh ko rabāb banā
sarāpā apnā bahut kaif-e-iztirāb banā
ik ishtihār kī sūrat meñ paḌh ke aage nikal
na apne vāste har shaḳhs ko kitāb banā
mire savāloñ ko sun le yahī bahut hogā
javāb de ke mujhe yuuñ na lā-javāb banā
fasurda rah ke hama-vaqt kyā milegā tujhe
kabhī kabhār to chehre ko tū gulāb banā
zamīr par jo paḌī barf hai pighal jaa.e
darūn-e-zehn koī aisā āftāb banā
kabhī to thoḌī sī halchal ho so.e jazboñ meñ
kabhī to Thahre samundar pe ik habāb banā
badan ko chang bana ruh ko rabab bana
sarapa apna bahut kaif-e-iztirab bana
ek ishtihaar ki surat mein paDh ke aage nikal
na apne waste har shaKHs ko kitab bana
mere sawalon ko sun le yahi bahut hoga
jawab de ke mujhe yun na la-jawab bana
fasurda rah ke hama-waqt kya milega tujhe
kabhi kabhaar to chehre ko tu gulab bana
zamir par jo paDi barf hai pighal jae
darun-e-zehn koi aisa aaftab bana
kabhi to thoDi si halchal ho soe jazbon mein
kabhi to Thahre samundar pe ek habab bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.