badan ko oDh ke ya be-badan tamasha kar
badan ko oḌh ke yā be-badan tamāsha kar
udaas shahr ke shīrīñ-suḳhan tamāsha kar
hujūm-e-girya-gazīda ko aur ġham na dikhā
utaar kaḌiyāñ pahan pairahan tamāsha kar
hayāt dekhne aate haiñ log rone nahīñ
hañsī-ḳhushī se faqīr-e-zaman tamāsha kar
kisī pe bār-e-junūñ hai kisī pe bār-e-hayāt
thake huoñ ke liye be-thakan tamāsha kar
mizāj-e-ḳhilqat-o-ḳhāliq bahāl ho jaa.e
sajā ke ḳhaak makīn-e-'adan tamāsha kar
baḌe nasīb se miltā hai qarya-e-gul bhī
ai reg-e-sahrā ba-rū-e-chaman tamāsha kar
javāz ḳhud hai tamāsha tamāsha karne ko
ḳhushī ho ġham ho ki ranj-o-mehan tamāsha kar
sab apne apne tamāshe meñ mahv haiñ 'mīsam'
so tū bhī aa ke sar-e-anjuman tamāsha kar
badan ko oDh ke ya be-badan tamasha kar
udas shahr ke shirin-suKHan tamasha kar
hujum-e-girya-gazida ko aur gham na dikha
utar kaDiyan pahan pairahan tamasha kar
hayat dekhne aate hain log rone nahin
hansi-KHushi se faqir-e-zaman tamasha kar
kisi pe bar-e-junun hai kisi pe bar-e-hayat
thake huon ke liye be-thakan tamasha kar
mizaj-e-KHilqat-o-KHaliq bahaal ho jae
saja ke KHak makin-e-'adan tamasha kar
baDe nasib se milta hai qarya-e-gul bhi
ai reg-e-sahra ba-ru-e-chaman tamasha kar
jawaz KHud hai tamasha tamasha karne ko
KHushi ho gham ho ki ranj-o-mehan tamasha kar
sab apne apne tamashe mein mahw hain 'misam'
so tu bhi aa ke sar-e-anjuman tamasha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.