Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badan ko toDte hain beDiyan banate hain

Kuldeep Kumar

badan ko toDte hain beDiyan banate hain

Kuldeep Kumar

MORE BYKuldeep Kumar

    badan ko toḌte haiñ beḌiyāñ banāte haiñ

    ye log chāñd nahīñ roTiyāñ banāte haiñ

    tavīl shab meñ ba-mushkil guzāra hotā hai

    so chīḳhte haiñ ka.ī siskiyāñ banāte haiñ

    baḌe kamāl ke haiñ kār-sāz ye shā'ir

    sadā.eñ toḌ ke ḳhāmoshiyāñ banāte haiñ

    chalo ki shukr hai is shahr-e-habs meñ ab bhī

    kuchh aise log haiñ jo khiḌkiyāñ banāte haiñ

    khaTakte hoñge samundar āñkhoñ meñ ham log

    use ḳhabar hai ki ham kashtiyāñ banāte haiñ

    maiñ dhuup bechtā huuñ aur ghar ke saare buzurg

    musāfiroñ ke liye chhatriyāñ banāte haiñ

    badan ko toDte hain beDiyan banate hain

    ye log chand nahin roTiyan banate hain

    tawil shab mein ba-mushkil guzara hota hai

    so chiKHte hain kai siskiyan banate hain

    baDe kamal ke hain kar-saz ye sha'ir

    sadaen toD ke KHamoshiyan banate hain

    chalo ki shukr hai is shahr-e-habs mein ab bhi

    kuchh aise log hain jo khiDkiyan banate hain

    khaTakte honge samundar ki aankhon mein hum log

    use KHabar hai ki hum kashtiyan banate hain

    main dhup bechta hun aur ghar ke sare buzurg

    musafiron ke liye chhatriyan banate hain

    Source :
    • Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 83)
    • Author : Kuldeep Kumar
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now