badan mein rang bhare lahlha rahe hain charagh
badan meñ rañg bhare lahlhā rahe haiñ charāġh
mahak rahī hai fazā muskurā rahe haiñ charāġh
ujāle Duube hue haiñ ghane añdheroñ meñ
ajab safar hai bahut yaad aa rahe haiñ charāġh
ḳhudā kare ki unheñ ye milāp raas aa.e
havāoñ se jo ta.alluq baḌhā rahe haiñ charāġh
surūr-e-lams kā ab shaam lutf uThā.egī
ki din guzar gayā nazdīk aa rahe haiñ charāġh
tamām raat jale ab ye ḳhauf kaisā hai
havā-e-sub.h se dāman bachā rahe haiñ charāġh
vo de rahe haiñ hameñ bujh ke bhī payām-e-hayāt
hameñ añdheroñ meñ jiinā sikhā rahe haiñ charāġh
ujāle baañT rahe haiñ siyāh rātoñ ko
ye aur baat ki ḳhud ko jalā rahe haiñ charāġh
visāl-o-hijr ke mausam guzar ga.e ki 'bashīr'
jalā rahe haiñ na ham ab bujhā rahe haiñ charāġh
badan mein rang bhare lahlha rahe hain charagh
mahak rahi hai faza muskura rahe hain charagh
ujale Dube hue hain ghane andheron mein
ajab safar hai bahut yaad aa rahe hain charagh
KHuda kare ki unhen ye milap ras aae
hawaon se jo talluq baDha rahe hain charagh
surur-e-lams ka ab sham lutf uThaegi
ki din guzar gaya nazdik aa rahe hain charagh
tamam raat jale ab ye KHauf kaisa hai
hawa-e-subh se daman bacha rahe hain charagh
wo de rahe hain hamein bujh ke bhi payam-e-hayat
hamein andheron mein jina sikha rahe hain charagh
ujale banT rahe hain siyah raaton ko
ye aur baat ki KHud ko jala rahe hain charagh
visal-o-hijr ke mausam guzar gae ki 'bashir'
jala rahe hain na hum ab bujha rahe hain charagh
- Book : Dairon ke darmiyan (Pg. 31)
- Author : Bashiir Faruqi
- Publication : Bashiir Faruqi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.