badan pe apne libas-e-azab pahne hue
badan pe apne libās-e-azāb pahne hue
chalā hai phir koī sahrā sarāb pahne hue
har ek shaḳhs kī nazroñ ko kar gayā uryāñ
ye kaun guzrā yahāñ se naqāb pahne hue
fasīl-e-jism ko barbād kar ke chhoḌegā
tumhāre hijr kā mausam hai aab pahne hue
havā chaman meñ har ik barg-e-tar se kahtī hai
kisī ko dekhā hai tum ne gulāb pahne hue
hamāre takiye pe kal niiñd sar paTaktī rahī
hamārī aañkh thī ek aisā ḳhvāb pahne hue
badan pe us ke jo is baar khil rahā hai bahut
qabā-e-ishq hai ḳhāna-ḳharāb pahne hue
ye hindavī to kabhī reḳhta rahī 'dilbar'
zabān-e-urdu hai kyā kyā ḳhitāb pahne hue
badan pe apne libas-e-azab pahne hue
chala hai phir koi sahra sarab pahne hue
har ek shaKHs ki nazron ko kar gaya uryan
ye kaun guzra yahan se naqab pahne hue
fasil-e-jism ko barbaad kar ke chhoDega
tumhaare hijr ka mausam hai aab pahne hue
hawa chaman mein har ek barg-e-tar se kahti hai
kisi ko dekha hai tum ne gulab pahne hue
hamare takiye pe kal nind sar paTakti rahi
hamari aankh thi ek aisa KHwab pahne hue
badan pe us ke jo is bar khil raha hai bahut
qaba-e-ishq hai KHana-KHarab pahne hue
ye hindawi to kabhi reKHta rahi 'dilbar'
zaban-e-urdu hai kya kya KHitab pahne hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.