badan pe KHak wo apni laga ke leTa hai
badan pe ḳhaak vo apnī lagā ke leTā hai
falak ko paañv ke nīche dabā ke leTā hai
afiim apne ġhamoñ kī vo khā ke leTā hai
ġhurūr-e-ishq ko takiya banā ke leTā hai
jhulas rahā hai sitāroñ kā jism garmī se
junūñ kī aag se vo dil jalā ke leTā hai
ab us ke zarf pe kyoñ ho na do-jahāñ qurbān
jo kahkashāñ ko bhī ghar meñ sajā ke leTā hai
ab us kī laaj bhī allāh rakhne vaalā hai
jo us kī shaan meñ duniyā luTā ke leTā hai
kisī ke rahm-o-karam se nahīñ bulandī hai
vo kohsār pe apnī anā ke leTā hai
hai us ke paañv kī miTTī meñ ek ganjīna
vo apnā dard isī meñ chhupā ke leTā hai
havā ke paañv se bāñdhī hai maut kī aahaT
vafā ke dasht meñ dhūnī ramā ke leTā hai
vo boriyā jise tabrez oḌhā kartā thā
use 'nadīm' zamīñ par bichhā ke leTā hai
badan pe KHak wo apni laga ke leTa hai
falak ko panw ke niche daba ke leTa hai
afim apne ghamon ki wo kha ke leTa hai
ghurur-e-ishq ko takiya bana ke leTa hai
jhulas raha hai sitaron ka jism garmi se
junun ki aag se wo dil jala ke leTa hai
ab us ke zarf pe kyon ho na do-jahan qurban
jo kahkashan ko bhi ghar mein saja ke leTa hai
ab us ki laj bhi allah rakhne wala hai
jo us ki shan mein duniya luTa ke leTa hai
kisi ke rahm-o-karam se nahin bulandi hai
wo kohsar pe apni ana ke leTa hai
hai us ke panw ki miTTi mein ek ganjina
wo apna dard isi mein chhupa ke leTa hai
hawa ke panw se bandhi hai maut ki aahaT
wafa ke dasht mein dhuni rama ke leTa hai
wo boriya jise tabrez oDha karta tha
use 'nadim' zamin par bichha ke leTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.