badan se KHak khurachne se dar nikalte hain
badan se ḳhaak khurachne se dar nikalte haiñ
isī liye to shajar nange sar nikalte haiñ
charāġh dekh ke mastī sabhī ko aatī hai
diyā jale to patangoñ ke par nikalte haiñ
gale lagā ki zarā hausla baḌhe merā
faqat yuuñ dekhne se thoḌī Dar nikalte haiñ
tumhāre shahr meñ sūraj baḌā chamaktā hai
tumhāre shahr ke din kis qadar nikalte haiñ
maraz janāb kā daarū se kam nahīñ honā
ye bal to aadmī ko maar kar nikalte haiñ
hilā ke Daal samundar ko merī āñkhoñ par
abhī nikāl ye kankar agar nikalte haiñ
badan se KHak khurachne se dar nikalte hain
isi liye to shajar nange sar nikalte hain
charagh dekh ke masti sabhi ko aati hai
diya jale to patangon ke par nikalte hain
gale laga ki zara hausla baDhe mera
faqat yun dekhne se thoDi Dar nikalte hain
tumhaare shahr mein suraj baDa chamakta hai
tumhaare shahr ke din kis qadar nikalte hain
maraz janab ka daru se kam nahin hona
ye bal to aadmi ko mar kar nikalte hain
hila ke Dal samundar ko meri aankhon par
abhi nikal ye kankar agar nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.