badan se laDte hue zid pe DaT gaya ek din
badan se laḌte hue zid pe DaT gayā ik din
jo ek dard thā āḳhir ko ghaT gayā ik din
hamāre chehre ko chhoḌo ye aisā dikhtā hai
ġhubār-e-vaqt se gar dil bhī aT gayā ik din
mizāj koī bhī rahtā nahīñ hai der talak
jo mujh se duur khaḌā thā lipaT gayā ik din
vo aabla mirī raftār jo baḌhātā thā
masāfatoñ meñ kahīñ par vo phaT gayā ik din
faqīh-e-shahr jise iḳhtilāf thā tujh se
sudhar gayā ki vo raste se haT gayā ik din
zavāl aatā hai sahrā pe aaj dekh liyā
jo mujh meñ phailā huā thā simaT gayā ik din
mujhe gumāñ thā ki merā hai sirf merā hai
vo ek dariyā thā rastoñ meñ baT gayā ik din
kināre thā to musalsal udaas thā 'sābir'
samundaroñ ko safīna palaT gayā ik din
badan se laDte hue zid pe DaT gaya ek din
jo ek dard tha aaKHir ko ghaT gaya ek din
hamare chehre ko chhoDo ye aisa dikhta hai
ghubar-e-waqt se gar dil bhi aT gaya ek din
mizaj koi bhi rahta nahin hai der talak
jo mujh se dur khaDa tha lipaT gaya ek din
wo aabla meri raftar jo baDhata tha
masafaton mein kahin par wo phaT gaya ek din
faqih-e-shahr jise iKHtilaf tha tujh se
sudhar gaya ki wo raste se haT gaya ek din
zawal aata hai sahra pe aaj dekh liya
jo mujh mein phaila hua tha simaT gaya ek din
mujhe guman tha ki mera hai sirf mera hai
wo ek dariya tha raston mein baT gaya ek din
kinare tha to musalsal udas tha 'sabir'
samundaron ko safina palaT gaya ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.