badan se ruh ke rishte ka dhyan hote hue
badan se ruuh ke rishte kā dhyān hote hue
maiñ dar-ba-dar hī phirā huuñ makān hote hue
ye kaun aayā ki chehre pe aa ga.ī raunaq
janam janam kī musalsal thakān hote hue
jhulas rahe haiñ badan kaise tez garmī se
hamāre sar pe ka.ī sā.ebān hote hue
pahuñch hī jā.ūñgā fardā kī ḳhvāb-gāhoñ meñ
tumhārī yaad kā dhuñdlā nishān hote hue
ināyateñ huiiñ mausam kī bārhā mujh par
use bhī dekhūñ kabhī mehrbān hote hue
zamīn-e-fikr se rishta mirā kahāñ TuuTā
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī ūñchī uḌaan hote hue
nigāheñ dekhne lagtī haiñ rāstoñ kī taraf
safar meñ kitnā hī manzil kā dhyān hote hue
qadam-qadam pe haiñ lashkar muhāfizoñ ke 'nisār'
hamāre shahr meñ amn-o-amān hote hue
badan se ruh ke rishte ka dhyan hote hue
main dar-ba-dar hi phira hun makan hote hue
ye kaun aaya ki chehre pe aa gai raunaq
janam janam ki musalsal thakan hote hue
jhulas rahe hain badan kaise tez garmi se
hamare sar pe kai saeban hote hue
pahunch hi jaunga farda ki KHwab-gahon mein
tumhaari yaad ka dhundla nishan hote hue
inayaten huin mausam ki barha mujh par
use bhi dekhun kabhi mehrban hote hue
zamin-e-fikr se rishta mera kahan TuTa
KHayal-o-KHwab ki unchi uDan hote hue
nigahen dekhne lagti hain raston ki taraf
safar mein kitna hi manzil ka dhyan hote hue
qadam-qadam pe hain lashkar muhafizon ke 'nisar'
hamare shahr mein amn-o-aman hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.