badan se ruh ruKHsat ho rahi hai
badan se ruuh ruḳhsat ho rahī hai
mukammal qaid ġhurbat ho rahī hai
maiñ ḳhud tark-e-ta.alluq par huuñ majbūr
kuchh aisī hī tabī.at ho rahī hai
jafā un kī dil-e-zūd-āshnā par
ba-miqdār-e-mohabbat ho rahī hai
ḳhudā se mil gayā hai husn-e-kāfir
ḳhudā.ī par hukūmat ho rahī hai
nahīñ tanhā.ī-e-zindāñ mukammal
mujhe saaye se vahshat ho rahī hai
ye tum hañs hañs ke bāteñ kar rahe ho
ki taqsīm-e-jarāhat ho rahī hai
agar mashrab nahīñ badlā hai 'sīmāb'
to kyuuñ tajdīd-e-bai.at ho rahī hai
badan se ruh ruKHsat ho rahi hai
mukammal qaid ghurbat ho rahi hai
main KHud tark-e-talluq par hun majbur
kuchh aisi hi tabiat ho rahi hai
jafa un ki dil-e-zud-ashna par
ba-miqdar-e-mohabbat ho rahi hai
KHuda se mil gaya hai husn-e-kafir
KHudai par hukumat ho rahi hai
nahin tanhai-e-zindan mukammal
mujhe saye se wahshat ho rahi hai
ye tum hans hans ke baaten kar rahe ho
ki taqsim-e-jarahat ho rahi hai
agar mashrab nahin badla hai 'simab'
to kyun tajdid-e-baiat ho rahi hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 249)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.