badan sundar sajal mukh par sinhapa
badan sundar sajal mukh par siñhāpā
bahut anmol hai us kā sarāpā
safar kī ibtidā bhī intihā bhī
vahī luuTā khasūTi āpī-dhāpā
to devī hai na maiñ autār phir bhī
tujhe har jug janam meñ jī ne jaapā
jharokoñ se agar paḌosī na jhāñkeñ
abhāgan tū batā hī le rañDāpā
sakhī rī ho na ho sayyāñ hai merā
milan sur jis ne murlī meñ alāpā
kabhī paaTe chaḌhe jal terī ḳhātir
kabhī tapte bayābānoñ ko naapā
chalī thī ḳhuld se tū saath tanhā
yahāñ aa kar banī maañ beTī aapā
gulābī ho ga.ī vo sar se pā tak
alaav par jab us ne haath taapā
tajā thā sovarg kyuuñ sab yaad aayā
pakkī gandum ko jab darāñtī se kaapā
kabhī tū muḌ ke to dekhegī pīchhe
kabhī to khā.egī raste pe thāpā
piyā ab to palaT aa dekh aa.ī
safedī sar pe chehre par buḌhāpā
jo garje vo nahīñ barse kahīñ bhī
kiyā jo tū ne to us kī sazā pā
badan sundar sajal mukh par sinhapa
bahut anmol hai us ka sarapa
safar ki ibtida bhi intiha bhi
wahi luTa khasuTi aapi-dhapa
to dewi hai na main autar phir bhi
tujhe har jug janam mein ji ne japa
jharokon se agar paDosi na jhanken
abhagan tu bata hi le ranDapa
sakhi ri ho na ho sayyan hai mera
milan sur jis ne murli mein alapa
kabhi paTe chaDhe jal teri KHatir
kabhi tapte bayabanon ko napa
chali thi KHuld se tu sath tanha
yahan aa kar bani man beTi aapa
gulabi ho gai wo sar se pa tak
alaw par jab us ne hath tapa
taja tha sowarg kyun sab yaad aaya
pakki gandum ko jab daranti se kapa
kabhi tu muD ke to dekhegi pichhe
kabhi to khaegi raste pe thapa
piya ab to palaT aa dekh aai
safedi sar pe chehre par buDhapa
jo garje wo nahin barse kahin bhi
kiya jo tu ne to us ki saza pa
- Book : Ban Baas (Pg. 375)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.