badan Thahra dikhai de raha hai
badan Thahrā dikhā.ī de rahā hai
zarā gahrā dikhā.ī de rahā hai
har ik gūñgā hai us kī anjuman meñ
har ik bahrā dikhā.ī de rahā hai
baḌā sunsān sā hai us kā kūcha
bahut pahrā dikhā.ī de rahā hai
kabhī utrā thā yaañ maiñ pāniyoñ meñ
jahāñ sahrā dikhā.ī de rahā hai
hai kaisā mājrā kuchh tum bhī dekho
ye kyā chehrā dikhā.ī de rahā hai
abhī Duubā hī thā maiñ āñsuoñ meñ
ki phir sahrā dikhā.ī de rahā hai
mirī āvāz ke bujhte diye meñ
tirā chehrā dikhā.ī de rahā hai
har ik yaañ uḌ rahā hai āñdhiy.oñ meñ
magar Thahrā dikhā.ī de rahā hai
jahāñ mahfūz saarī raunaqeñ haiñ
vahīñ sahrā dikhā.ī de rahā hai
koī uTThegā tūfāñ dil-zamīñ se
qadam gahrā dikhā.ī de rahā hai
koī rishta nahīñ hai aa.ine se
magar chehrā dikhā.ī de rahā hai
vo mujh meñ aa gayā maiñ us ke andar
jahāñ Thahrā dikhā.ī de rahā hai
zarā chhaTne to do rangoñ ke bādal
dhuāñ gahrā dikhā.ī de rahā hai
abhī mat chheḌnā 'ajmal' ko dekho
'ajab chehrā dikhā.ī de rahā hai
badan Thahra dikhai de raha hai
zara gahra dikhai de raha hai
har ek gunga hai us ki anjuman mein
har ek bahra dikhai de raha hai
baDa sunsan sa hai us ka kucha
bahut pahra dikhai de raha hai
kabhi utra tha yan main paniyon mein
jahan sahra dikhai de raha hai
hai kaisa majra kuchh tum bhi dekho
ye kya chehra dikhai de raha hai
abhi Duba hi tha main aansuon mein
ki phir sahra dikhai de raha hai
meri aawaz ke bujhte diye mein
tera chehra dikhai de raha hai
har ek yan uD raha hai aandhiyon mein
magar Thahra dikhai de raha hai
jahan mahfuz sari raunaqen hain
wahin sahra dikhai de raha hai
koi uTThega tufan dil-zamin se
qadam gahra dikhai de raha hai
koi rishta nahin hai aaine se
magar chehra dikhai de raha hai
wo mujh mein aa gaya main us ke andar
jahan Thahra dikhai de raha hai
zara chhaTne to do rangon ke baadal
dhuan gahra dikhai de raha hai
abhi mat chheDna 'ajmal' ko dekho
'ajab chehra dikhai de raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.