badan utar ke kapDe badal raha hai koi
badan utaar ke kapḌe badal rahā hai koī
na.ī sarisht pahan kar nikal rahā hai koī
qadam qadam pe añdherā bhī baḌhtā jaatā hai
gumān hotā hai pīchhe bhī chal rahā hai koī
yaqīn hī nahīñ aatā vo kaise bol paḌā
mirā ḳhayāl thā bas vahm pal rahā hai koī
baḌā gumān hai vā'doñ pe Taal rakkhā hai
huzūr aap ke Taale se Tal rahā hai koī
maiñ apnī zaat meñ utrā to maiñ ne ye dekhā
bahut ḳhamoshī se bāhar nikal rahā hai koī
tamāsha ādhā-adhūrā hai dekhiye 'āmir'
tasavvurāt ko āñkhoñ pe mal rahā hai koī
badan utar ke kapDe badal raha hai koi
nai sarisht pahan kar nikal raha hai koi
qadam qadam pe andhera bhi baDhta jata hai
guman hota hai pichhe bhi chal raha hai koi
yaqin hi nahin aata wo kaise bol paDa
mera KHayal tha bas wahm pal raha hai koi
baDa guman hai wa'don pe Tal rakkha hai
huzur aap ke Tale se Tal raha hai koi
main apni zat mein utra to main ne ye dekha
bahut KHamoshi se bahar nikal raha hai koi
tamasha aadha-adhura hai dekhiye 'amir'
tasawwuraat ko aankhon pe mal raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.