baDe KHulus se apna bana liya tha mujhe
baḌe ḳhulūs se apnā banā liyā thā mujhe
tumhāre hijr ne zinda bachā liyā thā mujhe
yaqīn jaan bahut Dar gayā thā us din jab
gale se tū ne achānak lagā liyā thā mujhe
bichhaḌ ga.e haiñ to saarā qusūr hai terā
ki tū ne sar pe jo itnā chaḌhā liyā thā mujhe
maiñ itnī der kahīñ baiTh hī nahīñ saktā
kisī ne haath pakaḌ kar biThā liyā thā mujhe
jo is tarah se mujhe ḳharch kar rahā hai tū
ye chand roz meñ kitnā kamā liyā thā mujhe
mujhe ḳhushī hai suhūlat se ab marūñgā maiñ
ki ek baar to us ne bachā liyā thā mujhe
vo sard shaam vo bārish vo lāpatā yādeñ
kisī ne shaal meñ 'sāhir' chhupā liyā thā mujhe
baDe KHulus se apna bana liya tha mujhe
tumhaare hijr ne zinda bacha liya tha mujhe
yaqin jaan bahut Dar gaya tha us din jab
gale se tu ne achanak laga liya tha mujhe
bichhaD gae hain to sara qusur hai tera
ki tu ne sar pe jo itna chaDha liya tha mujhe
main itni der kahin baiTh hi nahin sakta
kisi ne hath pakaD kar biTha liya tha mujhe
jo is tarah se mujhe KHarch kar raha hai tu
ye chand roz mein kitna kama liya tha mujhe
mujhe KHushi hai suhulat se ab marunga main
ki ek bar to us ne bacha liya tha mujhe
wo sard sham wo barish wo lapata yaaden
kisi ne shaal mein 'sahir' chhupa liya tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.