baDe KHulus se shaistagi se milta hai
baḌe ḳhulūs se shā.istagī se miltā hai
mirā harīf bhī mujh ko ḳhushī se miltā hai
mujhe vo in dinoñ zinda-dilī se miltā hai
ḳhushī yahī hai ki ab vo ḳhushī se miltā hai
sukūn dil ko to ab dard hī se miltā hai
ye lutf vo hai jo ham-sā.egī se miltā hai
na jaane in dinoñ kyoñ shaiḳh mai-gusāroñ se
baḌe niyāz baḌī ājizī se miltā hai
hai kār-e-nek har ik haal meñ jiye jaanā
mujhe ye hausla merī ḳhudī se miltā hai
ḳhalā-navard hue to pata chalā ham ko
yaqīñ kā rishta kahīñ bebasī se miltā hai
nahīñ hai koī bhī shai pā.edār duniyā meñ
vo ek dars jo ham ko ḳhushī se miltā hai
hamesha mujh se ye kahte haiñ shaiḳh mai pī kar
mirā mizāj faqat aap hī se miltā hai
zarā bhī farq nahīñ hai mizāj-e-'rāhat' meñ
vo āj-kal bhī usī sādgī se miltā hai
baDe KHulus se shaistagi se milta hai
mera harif bhi mujh ko KHushi se milta hai
mujhe wo in dinon zinda-dili se milta hai
KHushi yahi hai ki ab wo KHushi se milta hai
sukun dil ko to ab dard hi se milta hai
ye lutf wo hai jo ham-saegi se milta hai
na jaane in dinon kyon shaiKH mai-gusaron se
baDe niyaz baDi aajizi se milta hai
hai kar-e-nek har ek haal mein jiye jaana
mujhe ye hausla meri KHudi se milta hai
KHala-naward hue to pata chala hum ko
yaqin ka rishta kahin bebasi se milta hai
nahin hai koi bhi shai paedar duniya mein
wo ek dars jo hum ko KHushi se milta hai
hamesha mujh se ye kahte hain shaiKH mai pi kar
mera mizaj faqat aap hi se milta hai
zara bhi farq nahin hai mizaj-e-'rahat' mein
wo aaj-kal bhi usi sadgi se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.