baDe nadan the hum ret ko aab-e-rawan samjhe
baḌe nādān the ham ret ko āb-e-ravāñ samjhe
khujūroñ ke daraḳhtoñ ko ghanerā sā.ebāñ samjhe
chaman meñ mere aañsū the jinheñ shabnam kahā sab ne
falak par merī aaheñ thiiñ jinheñ sab kahkashāñ samjhe
kabhī tujh ko ġhubār-e-rañg meñ koī kiran jaanā
kabhī tujh ko giraft-e-sañg meñ juue ravāñ samjhe
kisī be-mehr-sub.hoñ ko atā kī raushnī ham ne
ka.ī nā mehrbāñ rātoñ ko bhī ham mehrbāñ samjhe
ḳhizāñ ke shahr meñ bas maiñ bahāroñ kī alāmat thā
mire zaḳhmoñ ko sab phūloñ kī nāzuk pattiyāñ samjhe
sabhī ko de rahā thā vo duā jiine kī sadiyoñ tak
hamāre shahr ke sab log us ko bad-zabāñ samjhe
thake baiThe the kuchh panchhī lab-e-dariyā jinheñ 'as.ad'
ham apnī par-shikasta ḳhvāhishoñ kā kārvāñ samjhe
baDe nadan the hum ret ko aab-e-rawan samjhe
khujuron ke daraKHton ko ghanera saeban samjhe
chaman mein mere aansu the jinhen shabnam kaha sab ne
falak par meri aahen thin jinhen sab kahkashan samjhe
kabhi tujh ko ghubar-e-rang mein koi kiran jaana
kabhi tujh ko giraft-e-sang mein jue rawan samjhe
kisi be-mehr-subhon ko ata ki raushni hum ne
kai na mehrban raaton ko bhi hum mehrban samjhe
KHizan ke shahr mein bas main bahaaron ki alamat tha
mere zaKHmon ko sab phulon ki nazuk pattiyan samjhe
sabhi ko de raha tha wo dua jine ki sadiyon tak
hamare shahr ke sab log us ko bad-zaban samjhe
thake baiThe the kuchh panchhi lab-e-dariya jinhen 'asad'
hum apni par-shikasta KHwahishon ka karwan samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.