baDe nuqsan hote hain zaban ki be-lagami se
baḌe nuqsān hote haiñ zabāñ kī be-lagāmī se
ki rishte Tuut jaate haiñ zarā sī bad-kalāmī se
kisī insān kī pahchān duniyā kī nigāhoñ meñ
kahīñ hotī hai ḳhūbī se kahīñ hotī hai ḳhāmī se
agar kahtā huuñ maiñ āb-e-hayāt is ko ġhalat kyā hai
hamesha aadmī rahtā hai zinda nek-nāmī se
ye terī tez-raftārī to mujh ko maar Dālegī
bahut hairān huuñ ai vaqt terī tez-gāmī se
zamāne meñ isī bā'is hai mere naam kī shohrat
maiñ dīvāna huuñ pahchānā gayā huuñ ḳhud-kalāmī se
mire dil meñ farozāñ haiñ tumhāre naam kī sham'eñ
mirī duniyā munavvar hai tumhāre nām-e-nāmī se
tire qadmoñ kī aahaT se tujhe pahchān letā huuñ
mirā ehsās vāqif hai tirī nāzuk-ḳhirāmī se
mujhe mahsūs hotā hai ki maiñ tujh se muḳhātib huuñ
maiñ terī guftugū kartā huuñ jab tere payāmī se
koī dariyā se ye kah de qayāmat tak na TūTegā
baḌā mazbūt rishta hai hamārā tishna-kāmī se
ta'alluq hai 'samar' kis se shu'ūr-o-fikr kā mere
'nafīs-e-qādrī’ se 'raunaq'-o-'ahsan' se 'jāmī' se
baDe nuqsan hote hain zaban ki be-lagami se
ki rishte Tut jate hain zara si bad-kalami se
kisi insan ki pahchan duniya ki nigahon mein
kahin hoti hai KHubi se kahin hoti hai KHami se
agar kahta hun main aab-e-hayat is ko ghalat kya hai
hamesha aadmi rahta hai zinda nek-nami se
ye teri tez-raftari to mujh ko mar Dalegi
bahut hairan hun ai waqt teri tez-gami se
zamane mein isi ba'is hai mere nam ki shohrat
main diwana hun pahchana gaya hun KHud-kalami se
mere dil mein farozan hain tumhaare nam ki sham'en
meri duniya munawwar hai tumhaare nam-e-nami se
tere qadmon ki aahaT se tujhe pahchan leta hun
mera ehsas waqif hai teri nazuk-KHirami se
mujhe mahsus hota hai ki main tujh se muKHatib hun
main teri guftugu karta hun jab tere payami se
koi dariya se ye kah de qayamat tak na TuTega
baDa mazbut rishta hai hamara tishna-kaami se
ta'alluq hai 'samar' kis se shu'ur-o-fikr ka mere
'nafis-e-qadri’ se 'raunaq'-o-'ahsan' se 'jami' se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.