baDe saliqe se zindagi ko azab kar ke chala gaya tha
baḌe salīqe se zindagī ko azaab kar ke chalā gayā thā
vo kyā gayā thā ki merī duniyā ko ḳhvāb kar ke chalā gayā thā
ham us kī yādoñ kī bikhrī kirchoñ ko apnī palkoñ se chun rahe the
vo itnī ujlat meñ thā ki sab kuchh ḳharāb kar ke chalā gayā thā
ye kis ke jaane ke baad ab tak ham apne ashkoñ ko pī rahe haiñ
ye kaun thā jo hamārī āñkheñ sharāb kar ke chalā gayā thā
kam-ahl hotā to chhoḌ jaane meñ phir bhī thoḌā sā vaqt letā
paḌhā likhā thā to jaldī kār-e-savāb kar ke chalā gayā thā
vo apne hisse kī nafratoñ pe bhī aa ke thoḌī sī baat kartā
mohabbatoñ kā to ḳhair saarā hisāb kar ke chalā gayā thā
maiñ phir bhī us ko duā.eñ dūñgā ye merī fitrat kā hai taqāzā
jo merī rāteñ jo merī nīñdeñ ḳharāb kar ke chalā gayā thā
baDe saliqe se zindagi ko azab kar ke chala gaya tha
wo kya gaya tha ki meri duniya ko KHwab kar ke chala gaya tha
hum us ki yaadon ki bikhri kirchon ko apni palkon se chun rahe the
wo itni ujlat mein tha ki sab kuchh KHarab kar ke chala gaya tha
ye kis ke jaane ke baad ab tak hum apne ashkon ko pi rahe hain
ye kaun tha jo hamari aankhen sharab kar ke chala gaya tha
kam-ahl hota to chhoD jaane mein phir bhi thoDa sa waqt leta
paDha likha tha to jaldi kar-e-sawab kar ke chala gaya tha
wo apne hisse ki nafraton pe bhi aa ke thoDi si baat karta
mohabbaton ka to KHair sara hisab kar ke chala gaya tha
main phir bhi us ko duaen dunga ye meri fitrat ka hai taqaza
jo meri raaten jo meri ninden KHarab kar ke chala gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.