Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDe shad the zindagani se pahle

Sultan Shakir Hashmi

baDe shad the zindagani se pahle

Sultan Shakir Hashmi

MORE BYSultan Shakir Hashmi

    baḌe shaad the zindagānī se pahle

    magar sach to ye hai javānī se pahle

    ye kaisī ghaTā hai ki tauba-kashoñ meñ

    barasne lagī aag paanī se pahle

    mujhe mujrim-e-ishq farmāne vaale

    zarā pūchh apnī javānī se pahle

    samajhtā na thā koī rāz-e-mohabbat

    mire āñsuoñ ravānī se pahle

    nigāhoñ ne dekhā hai daur-e-masarrat

    magar 'ishq mehrbānī se pahle

    uThāte na ham zindagānī ne'mat

    samajhte agar zindagānī se pahle

    agar roknā thā mohabbat se 'shākir'

    to taklīf karte javānī se pahle

    baDe shad the zindagani se pahle

    magar sach to ye hai jawani se pahle

    ye kaisi ghaTa hai ki tauba-kashon mein

    barasne lagi aag pani se pahle

    mujhe mujrim-e-ishq farmane wale

    zara puchh apni jawani se pahle

    samajhta na tha koi raaz-e-mohabbat

    mere aansuon ki rawani se pahle

    nigahon ne dekha hai daur-e-masarrat

    magar 'ishq ki mehrbani se pahle

    uThate na hum zindagani ki ne'mat

    samajhte agar zindagani se pahle

    agar rokna tha mohabbat se 'shakir'

    to taklif karte jawani se pahle

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now