baDe tufan uThane ke liye hain
baḌe tūfāñ uThāne ke liye haiñ
ye āñkheñ muskurāne ke liye haiñ
bil-āḳhir kam paḌegā ye añdherā
charāġh itne jalāne ke liye haiñ
ye ḳhushbū lamhe aur ye ḳhush-adā log
bichhaḌ kar yaad aane ke liye haiñ
ḳhudā jaane ye dil ke vasvase ab
mujhe kyā din dikhāne ke liye haiñ
huā karte the ham apne liye bhī
magar ab to zamāne ke liye haiñ
jo āñkheñ ḳhvāb banñe ke liye thiiñ
vo ab aañsū bahāne ke liye haiñ
ham aise log us kī anjuman meñ
charāġh-e-dil jalāne ke liye haiñ
baDe tufan uThane ke liye hain
ye aankhen muskurane ke liye hain
bil-aKHir kam paDega ye andhera
charagh itne jalane ke liye hain
ye KHushbu lamhe aur ye KHush-ada log
bichhaD kar yaad aane ke liye hain
KHuda jaane ye dil ke waswase ab
mujhe kya din dikhane ke liye hain
hua karte the hum apne liye bhi
magar ab to zamane ke liye hain
jo aankhen KHwab banne ke liye thin
wo ab aansu bahane ke liye hain
hum aise log us ki anjuman mein
charagh-e-dil jalane ke liye hain
- Book : Tabani (Pg. 33)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.