baDh baDh ke bazm-e-naz se saghar uThae ja
baḌh baḌh ke bazm-e-nāz se sāġhar uThā.e jā
josh-e-junūñ meñ aur zarā laḌkhaḌā.e jā
bahke na yuuñ qadam ki koī rind kah sake
apnī nigāh-e-nāz se mujh ko pilā.e jā
bāda-kashī ke baa'd huiiñ ne'mateñ tamām
naqsh-e-ḳhayāl-e-ḳhām ko dil se miTā.e jā
māyūs ho ga.e haiñ jo is zindagī se aaj
lutf-e-hayāt kā unheñ muzhda sunā.e jā
tanhā.iyoñ kī bazm meñ zinda-dilī ke saath
apne ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā basā.e jā
chhalke na dast-e-shauq se sahbā-e-zindagī
is ehtiyāt se mai-o-mīnā luñDhā.e jā
'azm-o-yaqīñ ke saath sadā bazm-e-nāz meñ
husn-e-sitam-shi’ār se dāman bachā.e jā
miT jaa.eñ zindagī kī sabhī talḳhiyāñ agar
raqs-e-junūñ ke saath koī giit gaa.e jā
baDh baDh ke bazm-e-naz se saghar uThae ja
josh-e-junun mein aur zara laDkhaDae ja
bahke na yun qadam ki koi rind kah sake
apni nigah-e-naz se mujh ko pilae ja
baada-kashi ke ba'd huin ne'maten tamam
naqsh-e-KHayal-e-KHam ko dil se miTae ja
mayus ho gae hain jo is zindagi se aaj
lutf-e-hayat ka unhen muzhda sunae ja
tanhaiyon ki bazm mein zinda-dili ke sath
apne KHayal-o-KHwab ki duniya basae ja
chhalke na dast-e-shauq se sahba-e-zindagi
is ehtiyat se mai-o-mina lunDhae ja
'azm-o-yaqin ke sath sada bazm-e-naz mein
husn-e-sitam-shi’ar se daman bachae ja
miT jaen zindagi ki sabhi talKHiyan agar
raqs-e-junun ke sath koi git gae ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.