baDh gai hain qurbaten bhi faslon ke sath sath
baḌh ga.ī haiñ qurbateñ bhī fāsloñ ke saath saath
aur mohabbat baḌh rahī hai qurbatoñ ke saath saath
ham jo the mahv-e-safar yak-laḳht tanhā ho ga.e
kho ga.ī manzil hamārī rāstoñ ke saath saath
jo mohabbat ke amiiñ the kis taraf ko chal diye
band darvāza paḌā hai khiḌkiyoñ ke saath saath
chaa.e kā cup haath meñ thā aur ġhazal jaarī rahī
fā.elātun fā.elātun kī dhunoñ ke saath saath
maiñ saḌak par chal rahī huuñ thaam kar us kā ḳhayāl
ek sahrā chal rahā hai pāniyoñ ke saath saath
qahqahe tanhā.ī dahshat meñ mirī tārīkiyāñ
raat kaaTī jā rahī hai ratjagoñ ke saath saath
baDh gai hain qurbaten bhi faslon ke sath sath
aur mohabbat baDh rahi hai qurbaton ke sath sath
hum jo the mahw-e-safar yak-laKHt tanha ho gae
kho gai manzil hamari raston ke sath sath
jo mohabbat ke amin the kis taraf ko chal diye
band darwaza paDa hai khiDkiyon ke sath sath
chae ka cup hath mein tha aur ghazal jari rahi
faelatun faelatun ki dhunon ke sath sath
main saDak par chal rahi hun tham kar us ka KHayal
ek sahra chal raha hai paniyon ke sath sath
qahqahe tanhai dahshat mein meri tarikiyan
raat kaTi ja rahi hai ratjagon ke sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.