baDh gai ye gardish-e-sar na-tawan chakkar mein hai
baDh gai ye gardish-e-sar na-tawan chakkar mein hai
Siraj Mir Khan Sahab Sahar
MORE BYSiraj Mir Khan Sahab Sahar
baḌh ga.ī ye gardish-e-sar nā-tavāñ chakkar meñ hai
ab zamīñ chakkar meñ hai yā āsmāñ chakkar meñ hai
maiñ vo bāda-nosh huuñ saaqī ki mujh ko dekh kar
ġhunche hairat meñ haiñ aur pīr-e-muġhāñ chakkar meñ hai
aaj hai us kī zabāñ par kal zabāñ par aap kī
gardish-e-qismat se merī dāstāñ chakkar meñ hai
jo haiñ goyā bazm-e-dushman meñ bhī vo ruktī nahīñ
biich meñ battīs dāñtoñ ke zabāñ chakkar meñ hai
ab kahāñ vo sāya-e-ashjār jis meñ sar chhupā.e
luuT kar gulzār ko bād-e-ḳhizāñ chakkar meñ hai
tiira dil ko sar chaḌhā kar ye samar hāsil huā
baaḌh aa.ī teġh par sang-e-fasāñ chakkar meñ hai
jo haiñ daanā pis rahe haiñ gardish-e-ayyām se
āshiyāñ kī tarah sar par āsmāñ chakkar meñ hai
chhoḌnā ghar baar kā hai mūjib-e-āvārgī
jism-e-be-jāñ ḳhaak meñ rūh-e-ravāñ chakkar meñ hai
gūñjte haiñ nāla-hā-e-qais koh-o-dasht meñ
ab kidhar le jaa.e naaqa sārbāñ chakkar meñ hai
hukm hai aane na paa.e ab sadā-e-sehr bhī
kis tarah roke havā ko pāsbāñ chakkar meñ hai
baDh gai ye gardish-e-sar na-tawan chakkar mein hai
ab zamin chakkar mein hai ya aasman chakkar mein hai
main wo baada-nosh hun saqi ki mujh ko dekh kar
ghunche hairat mein hain aur pir-e-mughan chakkar mein hai
aaj hai us ki zaban par kal zaban par aap ki
gardish-e-qismat se meri dastan chakkar mein hai
jo hain goya bazm-e-dushman mein bhi wo rukti nahin
bich mein battis danton ke zaban chakkar mein hai
ab kahan wo saya-e-ashjar jis mein sar chhupae
luT kar gulzar ko baad-e-KHizan chakkar mein hai
tera dil ko sar chaDha kar ye samar hasil hua
baDh aai tegh par sang-e-fasan chakkar mein hai
jo hain dana pis rahe hain gardish-e-ayyam se
aashiyan ki tarah sar par aasman chakkar mein hai
chhoDna ghar bar ka hai mujib-e-awargi
jism-e-be-jaan KHak mein ruh-e-rawan chakkar mein hai
gunjte hain nala-ha-e-qais koh-o-dasht mein
ab kidhar le jae naqa sarban chakkar mein hai
hukm hai aane na pae ab sada-e-sehr bhi
kis tarah roke hawa ko pasban chakkar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.