baDh gaya kuchh aur dil ka iztirab
baḌh gayā kuchh aur dil kā iztirāb
kyā sitam hai ai nigāh-e-bāryāb
ban ga.ī bujhte tabassum kā sharār
vo dam-e-ruḳhsat tirī chashm-e-pur-āb
ai ḳhushā vo dil ki jis kī har ḳhalish
hai mujassam kuchh sukūñ kuchh iztirāb
raat kī nīñdeñ huiiñ jin se harām
dekhtā huuñ un hasīñ rātoñ ke ḳhvāb
be-piye rahtā thā jab har dam surūr
haa.e vo sarmastī-e-ahd-e-shabāb
nashsha-e-dil se lahaktā thā chaman
āsmānoñ se barastī thī sharāb
mauj-e-naġhma ban ga.ī thī zindagī
baj rahe the dil meñ tā.ūs-o-raubāb
māhtāb-e-shauq hamrāh-e-safar
āftāb-e-kāmrānī ham-rikāb
vo nigāhoñ meñ qayāmat kā sukūñ
vo dhaḌakte dil meñ hashr-e-iztirāb
muddateñ guzrīñ magar ab tak 'jamāl'
yaad hai vo jāgtī āñkhoñ kā ḳhvāb
baDh gaya kuchh aur dil ka iztirab
kya sitam hai ai nigah-e-baryab
ban gai bujhte tabassum ka sharar
wo dam-e-ruKHsat teri chashm-e-pur-ab
ai KHusha wo dil ki jis ki har KHalish
hai mujassam kuchh sukun kuchh iztirab
raat ki ninden huin jin se haram
dekhta hun un hasin raaton ke KHwab
be-piye rahta tha jab har dam surur
hae wo sarmasti-e-ahd-e-shabab
nashsha-e-dil se lahakta tha chaman
aasmanon se barasti thi sharab
mauj-e-naghma ban gai thi zindagi
baj rahe the dil mein taus-o-raubab
mahtab-e-shauq hamrah-e-safar
aaftab-e-kaamrani ham-rikab
wo nigahon mein qayamat ka sukun
wo dhaDakte dil mein hashr-e-iztirab
muddaten guzrin magar ab tak 'jamal'
yaad hai wo jagti aankhon ka KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.