baDha ab aur taqaze na chashm-e-nam apne
baḌhā ab aur taqāze na chashm-e-nam apne
chhupā ke sab se kahāñ tak likhūñ alam apne
huī haiñ us se vo bāteñ bhī jo kabhī na huiiñ
aur us meñ bhuul ga.e ham to kitne ġham apne
sukūn-e-dil kī talab vahshatoñ ke andeshe
yahī rahe haiñ shab-o-roz besh-o-kam apne
kise talāsh kareñ kis ke ham-safar ban jaa.eñ
ḳhud apnī raah meñ uThte nahīñ qadam apne
kuchh us kī zulf-e-shikan-dar-shikan ke ramz khuleñ
rah-e-hayāt sameTe jo pech-o-ḳham apne
sukūn-e-qalb-o-ġham-e-dahr kī kashākash meñ
yahī huā ki tumhāre hue na ham apne
baDha ab aur taqaze na chashm-e-nam apne
chhupa ke sab se kahan tak likhun alam apne
hui hain us se wo baaten bhi jo kabhi na huin
aur us mein bhul gae hum to kitne gham apne
sukun-e-dil ki talab wahshaton ke andeshe
yahi rahe hain shab-o-roz besh-o-kam apne
kise talash karen kis ke ham-safar ban jaen
KHud apni rah mein uThte nahin qadam apne
kuchh us ki zulf-e-shikan-dar-shikan ke ramz khulen
rah-e-hayat sameTe jo pech-o-KHam apne
sukun-e-qalb-o-gham-e-dahr ki kashakash mein
yahi hua ki tumhaare hue na hum apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.