baDha kar aankh ke tinke ko bhi shahtir karte hain
baḌhā kar aañkh ke tinke ko bhī shahtīr karte haiñ
chalo achchhā hai kuchh to vo mirī tash.hīr karte haiñ
jo uljhe haiñ unheñ vo aur bhī gambhīr karte haiñ
masā.il hal nahīñ karte haiñ bas taqrīr karte haiñ
sivā māyūsiyoñ ke kuchh unheñ hāsil nahīñ hotā
miTāne kī hameñ jo rāt-din tadbīr karte haiñ
hamāre kaun se ye kaam aa.egī batāo to
tumhāre naam aao dil kī ham jāgīr karte haiñ
nazar meñ raqs karte haiñ bahut se gum-shuda manzar
tumhārā naam jab kāġhaz pe ham tahrīr karte haiñ
mirī āñkhoñ meñ hī zauq-e-talab kī kuchh kamī hogī
vagarna jalva dikhlāne meñ kyoñ tāḳhīr karte haiñ
chalo sāhil pe chal kar dekhte haiñ dāstān-e-ġham
sunā hai Dūbne vaale bhī kuchh tahrīr karte haiñ
jinheñ pās-e-vafā muḳhtār az-had raas aatā hai
vahī aivān-e-ulfat ḳhuun se ta.amīr karte haiñ
baDha kar aankh ke tinke ko bhi shahtir karte hain
chalo achchha hai kuchh to wo meri tashhir karte hain
jo uljhe hain unhen wo aur bhi gambhir karte hain
masail hal nahin karte hain bas taqrir karte hain
siwa mayusiyon ke kuchh unhen hasil nahin hota
miTane ki hamein jo raat-din tadbir karte hain
hamare kaun se ye kaam aaegi batao to
tumhaare nam aao dil ki hum jagir karte hain
nazar mein raqs karte hain bahut se gum-shuda manzar
tumhaara nam jab kaghaz pe hum tahrir karte hain
meri aankhon mein hi zauq-e-talab ki kuchh kami hogi
wagarna jalwa dikhlane mein kyon taKHir karte hain
chalo sahil pe chal kar dekhte hain dastan-e-gham
suna hai Dubne wale bhi kuchh tahrir karte hain
jinhen pas-e-wafa muKHtar az-had ras aata hai
wahi aiwan-e-ulfat KHun se tamir karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.