baDha ke hath zamin se uTha liya jae
baḌhā ke haath zamīñ se uThā liyā jaa.e
jo bach gayā hai usī ko bachā liyā jaa.e
anā kī jañg ne barbād kar diye rishte
agarche ishq hai to sar jhukā liyā jaa.e
hamāre dil pe kabhī aap kī hukūmat thī
to kyuuñ na aap se hī mashvara liyā jaa.e
ki jagmagātī udāsī hai shahr meñ tere
chalo udāsī kā mil kar mazā liyā jaa.e
uThe to chal hī paḌeñge ye kārvāñ ke saath
gire paḌoñ ko gale se lagā liyā jaa.e
maiñ ek chor churātā huuñ qīmtī zevar
tumhārī aañkh se aañsū churā liyā jaa.e
sulagtī ret ke us paar ishq kā dariyā
mire ḳhayāl se paañv jalā liyā jaa.e
baDha ke hath zamin se uTha liya jae
jo bach gaya hai usi ko bacha liya jae
ana ki jang ne barbaad kar diye rishte
agarche ishq hai to sar jhuka liya jae
hamare dil pe kabhi aap ki hukumat thi
to kyun na aap se hi mashwara liya jae
ki jagmagati udasi hai shahr mein tere
chalo udasi ka mil kar maza liya jae
uThe to chal hi paDenge ye karwan ke sath
gire paDon ko gale se laga liya jae
main ek chor churaata hun qimti zewar
tumhaari aankh se aansu chura liya jae
sulagti ret ke us par ishq ka dariya
mere KHayal se panw jala liya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.