baDhao wada-e-farda pe tum apni ibaadat bhi
baḌhāo va.ada-e-fardā pe tum apnī ibādat bhī
ki fardā kyā na bhūlūñgā maiñ fardā-e-qayāmat bhī
shab-e-ḳhalvat jab utrīñ kashtiyoñ par kashtiyāñ mai kī
zamīñ par āsmāñ se aa gayā dariyā-e-rahmat bhī
tasallī is dil-e-betāb kī maiñ aap hī kar luuñ
hujūm-e-yās se pā.ūñ kahīñ kambaḳht fursat bhī
baham ik muḳhtasar se dil meñ haiñ shādī-o-ġham donoñ
ye chhoTā sā makāñ aur is meñ dozaḳh bhī hai jannat bhī
savāl-e-bosa par bole ki dekho tum ne phir chheḌā
tumheñ kuchh ho ga.ī hai gāliyāñ sunñe kī aadat bhī
yahāñ zāhid bane haiñ aur maiḳhāne se kal shab ko
nikāle jab ga.e mai-kash to un meñ ḳhud badaulat bhī
bane vo mudda.ī mere to mere dost bol uTThe
ki ham hāzir haiñ dene ko gavāhī bhī shahādat bhī
vo kahte haiñ ki jannat bhī hai ik kūcha hasīnoñ kā
banā lenā usī kūche meñ jā kar apnī turbat bhī
namāz-e-panjgāna se hai behtar kaam kyā zāhid
magar niyyat se pahle Thiik kar le apnī niyyat bhī
bahut achchhā rahā jo bach gayā ishq-o-mohabbat se
mohabbat hai koī ye ahl-e-duniyā kī mohabbat bhī
sar-e-bālīn-e-turbat sab dikhāne ke ye aañsū haiñ
diloñ meñ ye ki ho jaa.e kahīñ jaldī farāġhat bhī
fanā jab ho ga.e bahr-e-havādis meñ to ham ko kyā
kināre par agar kuchh haDDiyāñ pahuñchīñ salāmat bhī
shab-e-ġham niiñd bhī avval to kyoñ aane lagī mujh ko
agar soyā to uThne kā nahīñ sub.h-e-qayāmat bhī
tirī bāteñ bhī 'nādir' kitnī lachche-dār bāteñ haiñ
kuchh iz.hār-e-itā.at bhī kuchh andāz-e-matānat bhī
baDhao wada-e-farda pe tum apni ibaadat bhi
ki farda kya na bhulunga main farda-e-qayamat bhi
shab-e-KHalwat jab utrin kashtiyon par kashtiyan mai ki
zamin par aasman se aa gaya dariya-e-rahmat bhi
tasalli is dil-e-betab ki main aap hi kar lun
hujum-e-yas se paun kahin kambaKHt fursat bhi
baham ek muKHtasar se dil mein hain shadi-o-gham donon
ye chhoTa sa makan aur is mein dozaKH bhi hai jannat bhi
sawal-e-bosa par bole ki dekho tum ne phir chheDa
tumhein kuchh ho gai hai galiyan sunne ki aadat bhi
yahan zahid bane hain aur maiKHane se kal shab ko
nikale jab gae mai-kash to un mein KHud badaulat bhi
bane wo muddai mere to mere dost bol uTThe
ki hum hazir hain dene ko gawahi bhi shahadat bhi
wo kahte hain ki jannat bhi hai ek kucha hasinon ka
bana lena usi kuche mein ja kar apni turbat bhi
namaz-e-panjgana se hai behtar kaam kya zahid
magar niyyat se pahle Thik kar le apni niyyat bhi
bahut achchha raha jo bach gaya ishq-o-mohabbat se
mohabbat hai koi ye ahl-e-duniya ki mohabbat bhi
sar-e-baalin-e-turbat sab dikhane ke ye aansu hain
dilon mein ye ki ho jae kahin jaldi faraghat bhi
fana jab ho gae bahr-e-hawadis mein to hum ko kya
kinare par agar kuchh haDDiyan pahunchin salamat bhi
shab-e-gham nind bhi awwal to kyon aane lagi mujh ko
agar soya to uThne ka nahin subh-e-qayamat bhi
teri baaten bhi 'nadir' kitni lachche-dar baaten hain
kuchh izhaar-e-itaat bhi kuchh andaz-e-matanat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.