baDhata hi gaya raftar koi
baḌhātā hī gayā raftār koī
magar aage rahā har baar koī
kahānī kyoñ tumheñ apnī lagī thī
agar tum sā na thā kirdār koī
kabīra kī tarah le kar lakāThī
kabhī aatā sar-e-bāzār koī
na jaane kyoñ mire ḳhvāboñ meñ aksar
achānak girtī hai dīvār koī
vo apne aap se aise milā thā
milā ho jaise pahlī baar koī
akele jang thī duniyā se merī
mujhe kartā rahā tayyār koī
shifā-ḳhāna huī jaatī hai duniyā
jahāñ dekho vahīñ bīmār koī
baDhata hi gaya raftar koi
magar aage raha har bar koi
kahani kyon tumhein apni lagi thi
agar tum sa na tha kirdar koi
kabira ki tarah le kar lakaThi
kabhi aata sar-e-bazar koi
na jaane kyon mere KHwabon mein aksar
achanak girti hai diwar koi
wo apne aap se aise mila tha
mila ho jaise pahli bar koi
akele jang thi duniya se meri
mujhe karta raha tayyar koi
shifa-KHana hui jati hai duniya
jahan dekho wahin bimar koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.