baDhe hain hath kahan ye to ek numaish hai
baḌhe haiñ haath kahāñ ye to ik numā.ish hai
maiñ Duub jā.ūñ mire dostoñ kī ḳhvāhish hai
khulī fazā meñ kahīñ ḳhema Daal leñ chal kar
ghuTan hai kamre ke andar ġhamoñ kī bārish hai
na jaane kyā ho ma.āl-e-safar nahīñ ma.alūm
qadam qadam pe mire dil kī āzmā.ish hai
ġhubār-e-rāh thā maiñ tū ne hausla baḳhshā
mujhe gale se lagāyā tirī navāzish hai
ye kaisā mausam-e-shādāb hai ki ab ke baras
shajar harā hai na pattoñ meñ koī jumbish hai
khile na phuul koī mere dil ke āñgan meñ
hai chaal dhuup kī 'paikar' havā kī sāzish hai
baDhe hain hath kahan ye to ek numaish hai
main Dub jaun mere doston ki KHwahish hai
khuli faza mein kahin KHema Dal len chal kar
ghuTan hai kamre ke andar ghamon ki barish hai
na jaane kya ho maal-e-safar nahin malum
qadam qadam pe mere dil ki aazmaish hai
ghubar-e-rah tha main tu ne hausla baKHsha
mujhe gale se lagaya teri nawazish hai
ye kaisa mausam-e-shadab hai ki ab ke baras
shajar hara hai na patton mein koi jumbish hai
khile na phul koi mere dil ke aangan mein
hai chaal dhup ki 'paikar' hawa ki sazish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.