baDhenge aur bhi yun silsile hijabon ke
baḌheñge aur bhī yuuñ silsile hijāboñ ke
kar apnī baat havāle na de kitāboñ ke
maiñ shahr-e-gul kā musāfir mare sharīk-e-safar
sa.ūbatoñ kī ye rāteñ ye din azāboñ ke
tirī nazar se ibārat the tere saath ga.e
vo phuul mere ḳhayāloñ ke rañg ḳhvāboñ ke
tamām umr phir ik karb kī chitā meñ jale
ham ek pal jo ruke shahar meñ gulāboñ ke
haTāyā rañg kā paudā to zaḳhm zaḳhm thā phuul
chaman chaman the vahī silsile sarāboñ ke
abhī vo habs hai 'ḳhāvar' ki dam ulajhtā hai
abhī khule rakho darvāze apne ḳhvāboñ ke
baDhenge aur bhi yun silsile hijabon ke
kar apni baat hawale na de kitabon ke
main shahr-e-gul ka musafir mare sharik-e-safar
saubaton ki ye raaten ye din azabon ke
teri nazar se ibarat the tere sath gae
wo phul mere KHayalon ke rang KHwabon ke
tamam umr phir ek karb ki chita mein jale
hum ek pal jo ruke shahar mein gulabon ke
haTaya rang ka pauda to zaKHm zaKHm tha phul
chaman chaman the wahi silsile sarabon ke
abhi wo habs hai 'KHawar' ki dam ulajhta hai
abhi khule rakho darwaze apne KHwabon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.