baDhte baDhte koi din mein pahle to dariya hue
baDhte baDhte koi din mein pahle to dariya hue
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
baḌhte baḌhte koī din meñ pahle to dariyā hue
phir paḌī uftād kuchh aisī ki ham sahrā hue
kitnā samjhāyā ye patthar aur patthar ho ga.e
vā.e-qismat ham bhī kaise daur meñ barpā hue
thī azal se hī ye miTTī tīra-bātin dūñ-sarisht
the hamīñ nādāñ kabhī patthar bhī ā.īna hue
aag barsātā huā āḳhir vo din bhī aa gayā
bhar ga.e rūhoñ meñ sho'le jism angāra hue
sab achānak taj ga.e bastī khule dar chhoḌ kar
chilmaneñ sab bujh ga.iiñ sab baam be-jalva hue
chaukhaToñ par ajnabī qadmoñ kī ubhrīñ āhaTeñ
sīḌhiyāñ dhaḌkīñ chhateñ larzīñ darīche vā hue
chāñd kitne is ufuq par Duub kar ubhre udhar
kitne sūraj is taraf pinhāñ udhar paidā hue
le ga.e tum bhed saare saath ye achchhā huā
tum hue ifshā na un galiyoñ meñ ham rusvā hue
vo jharokā dam-ba-ḳhud gum-sum rahā phir bhī 'bashīr'
maiñ ne sau pūchhā vo roz-o-shab vo lamhe kyā hue
baDhte baDhte koi din mein pahle to dariya hue
phir paDi uftad kuchh aisi ki hum sahra hue
kitna samjhaya ye patthar aur patthar ho gae
wae-qismat hum bhi kaise daur mein barpa hue
thi azal se hi ye miTTi tira-baatin dun-sarisht
the hamin nadan kabhi patthar bhi aaina hue
aag barsata hua aaKHir wo din bhi aa gaya
bhar gae ruhon mein sho'le jism angara hue
sab achanak taj gae basti khule dar chhoD kar
chilmanen sab bujh gain sab baam be-jalwa hue
chaukhaTon par ajnabi qadmon ki ubhrin aahaTen
siDhiyan dhaDkin chhaten larzin dariche wa hue
chand kitne is ufuq par Dub kar ubhre udhar
kitne suraj is taraf pinhan udhar paida hue
le gae tum bhed sare sath ye achchha hua
tum hue ifsha na un galiyon mein hum ruswa hue
wo jharoka dam-ba-KHud gum-sum raha phir bhi 'bashir'
main ne sau puchha wo roz-o-shab wo lamhe kya hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.