baDhte baDhte ye andhere raushni tak aa gae
baḌhte baḌhte ye añdhere raushnī tak aa ga.e
yaas ke lamhe hamārī zindagī tak aa ga.e
kal na-jāne kyā mazāq-e-manzil-e-maqsūd ho
aaj ke rahbar faroġh-e-gumrahī tak aa ga.e
kis ko kyā hāsil huā hai is jahān-e-shauq meñ
hosh vaale be-sabab dīvāngī tak aa ga.e
aaj tak suljhe hue the jo hamāre sāmne
mas.ale aise bhī kuchh pechīdgī tak aa ga.e
jo ye kahte the bajā-e-ḳhud nasha hai zindagī
aise kuchh insān bhī to mai-kashī tak aa ga.e
is zamāne ne diye kuchh dost aise bhī hameñ
dostī kī raah se jo dushmanī tak aa ga.e
ab zamāne kī zabāñ ko kaun rokegā huzūr
aap ne ye kyā kiyā ik ajnabī tak aa ga.e
ab kahāñ roke se 'shāhid' ruk sakeñge inqilāb
jin ko aanā thā vo hadd-e-barhamī tak aa ga.e
baDhte baDhte ye andhere raushni tak aa gae
yas ke lamhe hamari zindagi tak aa gae
kal na-jaane kya mazaq-e-manzil-e-maqsud ho
aaj ke rahbar farogh-e-gumrahi tak aa gae
kis ko kya hasil hua hai is jahan-e-shauq mein
hosh wale be-sabab diwangi tak aa gae
aaj tak suljhe hue the jo hamare samne
masale aise bhi kuchh pechidgi tak aa gae
jo ye kahte the baja-e-KHud nasha hai zindagi
aise kuchh insan bhi to mai-kashi tak aa gae
is zamane ne diye kuchh dost aise bhi hamein
dosti ki rah se jo dushmani tak aa gae
ab zamane ki zaban ko kaun rokega huzur
aap ne ye kya kiya ek ajnabi tak aa gae
ab kahan roke se 'shahid' ruk sakenge inqilab
jin ko aana tha wo hadd-e-barhami tak aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.