baDhti jati hai pyas aankhon ki
baḌhtī jaatī hai pyaas āñkhoñ kī
baat samjho udaas āñkhoñ kī
ik ishārā hai mast nazroñ kā
ik nishānī hai ḳhaas āñkhoñ kī
tere chhāle mujhe batāte haiñ
tū ne chakh lī miThās āñkhoñ kī
sab ko har vaqt ghūrtī haiñ ye
koī to le class āñkhoñ kī
ashk-rezī maiñ kartā rahtā huuñ
taaki nikle bhaḌās āñkhoñ kī
tum zarā us taraf nigāh karo
lau sambhālegā daas āñkhoñ kī
maañ kī bīnā.ī bujh ga.ī lekin
TūTtī kab hai aas āñkhoñ kī
baDhti jati hai pyas aankhon ki
baat samjho udas aankhon ki
ek ishaara hai mast nazron ka
ek nishani hai KHas aankhon ki
tere chhaale mujhe batate hain
tu ne chakh li miThas aankhon ki
sab ko har waqt ghurti hain ye
koi to le class aankhon ki
ashk-rezi main karta rahta hun
taki nikle bhaDas aankhon ki
tum zara us taraf nigah karo
lau sambhaalega das aankhon ki
man ki binai bujh gai lekin
TuTti kab hai aas aankhon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.