baDi baDi imaraton ko hairaton se dekhna
baḌī baḌī 'imāratoñ ko hairatoñ se dekhnā
phir us ke baa'd apne ghar ko āñsuoñ se dekhnā
ḳharīd laao sab se mahñgī chūḌiyāñ jahān kī
phir ek ḳhvāb rañg-birangī chūḌiyoñ se dekhnā
kisī kī aartī suhāg ke liye utārnā
phir apnī hī chitā ko surma.ī dhuon se dekhnā
baḌā 'ajab gunāh hai baḌī 'ajīb baat hai
ye ek dūsre ko bhīgī chāhatoñ se dekhnā
ham ek puurī dāstāñ haiñ yaad kar ke dekhiye
kabhī hameñ vafā ke TuuTe silsiloñ se dekhnā
kahāñ-kahāñ jale charāġh le kar ham khaḌe rahe
hamārī zinda dāstāñ ko khanDaroñ se dekhnā
bahut qarīb ham ko apnī āhaToñ se pāoge
nazar se duur jā ke ham ko rāstoñ se dekhnā
zamīñ se āsmāñ talak na koī baat pāoge
kabhī kabhī ġhazal ko us ke qāfiyoñ se dekhnā
baDi baDi 'imaraton ko hairaton se dekhna
phir us ke ba'd apne ghar ko aansuon se dekhna
KHarid lao sab se mahngi chuDiyan jahan ki
phir ek KHwab rang-birangi chuDiyon se dekhna
kisi ki aarti suhag ke liye utarna
phir apni hi chita ko surmai dhuon se dekhna
baDa 'ajab gunah hai baDi 'ajib baat hai
ye ek dusre ko bhigi chahaton se dekhna
hum ek puri dastan hain yaad kar ke dekhiye
kabhi hamein wafa ke TuTe silsilon se dekhna
kahan-kahan jale charagh le kar hum khaDe rahe
hamari zinda dastan ko khanDaron se dekhna
bahut qarib hum ko apni aahaTon se paoge
nazar se dur ja ke hum ko raston se dekhna
zamin se aasman talak na koi baat paoge
kabhi kabhi ghazal ko us ke qafiyon se dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.