baDi danai se andaz-e-ayyari badalte hain
baḌī dānā.ī se andāz-e-ayyārī badalte haiñ
badalte mausamoñ meñ jo vafādārī badalte haiñ
girānī ho ki arzānī unheñ to mil hī jaate haiñ
zarūrat jab bhī hotī hai vo darbārī badalte haiñ
zarūrat aise ahl-e-dil kī hai ab mere logoñ ko
jo tartīb-e-rumūz-e-zindagī saarī badalte haiñ
ta.alluq kyā faqīrān-e-haram kā shahryāroñ se
ham aise log kab apnī vafādārī badalte haiñ
asīr-e-maslahat ḳhud ho ga.e vo jo ye kahte the
purānī maslahat haiñ sūrateñ saarī badalte haiñ
chalo ik baar phir dār-o-rasan kī āzmā.ish ho
chalo ik baar phir rasm-e-sitam-gārī badalte haiñ
baDi danai se andaz-e-ayyari badalte hain
badalte mausamon mein jo wafadari badalte hain
girani ho ki arzani unhen to mil hi jate hain
zarurat jab bhi hoti hai wo darbari badalte hain
zarurat aise ahl-e-dil ki hai ab mere logon ko
jo tartib-e-rumuz-e-zindagi sari badalte hain
talluq kya faqiran-e-haram ka shahryaron se
hum aise log kab apni wafadari badalte hain
asir-e-maslahat KHud ho gae wo jo ye kahte the
purani maslahat hain suraten sari badalte hain
chalo ek bar phir dar-o-rasan ki aazmaish ho
chalo ek bar phir rasm-e-sitam-gari badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.